baba jee! kal mere ghar mein aftaari hai, qareeban so ahbaab hunge, mujhe samose aur pukoray chahiye, kitney pesey day jaun? mein ne poocha ,
baba jee ne meri taraf dekha aur sawalia nazron se muskuraye .
" kitney pesey day satke ho "
mujhe aisay laga, jaisay baba jee ne meri tauheen ki hai ,
mujhe aik arsay se jantay hue bhi yeh sawal be mehal aur tazheek thi ,
mein ne asal qeemat se ziyada pesey nikalay aur baba jee ke samnay rakh dyie ,

baba jee ne pesey uthaye aur mujhe dete hue bolay ,
woh samnay sarrak ke is paar is boorhi aurat ko day do, kal aa kar –apne samose pukoray le jana ,
meri pareshani tum ne hal kar di, aftaari ka waqt qareeb tha aur mere paas itnay pesey jama nahi ho rahay they, ab baichari chand din sehri aur aftaari ki fikar se azad ho jaye gi .
mere jism mein thandhi si lehar daud gayi .
woh kon hai apkee? ?
mere mun se be ikhtiyar sawal nikla. baba jee tap gay ,
woh meri maa hai, beti hai aur behan hai. tum pesey walay kya jano, rishte kya hotay hain, jinhein insaaniyat ki pehchan nahi rahi inhen rishton ka bharam kaisay ho ga, pichlle teen ghantay se khari hai, nah maang rahi hai aur nah koi day raha hai .
tum log bhooka rehne ko roza samajte ho aur pait bharay rishton ko aftaar kara ke samajte ho sawab kama liya .
" agar roza rakh ke bhi ehsas nahi jaga to yeh roza nahi, sirf bhook hai bhook "
mein boujhal qadmon se is budiya ki taraf ja raha tha aur soch raha tha, –apne imaan ka wazan kar raha tha, yeh mere haath mein pesey mere nahi they baba jee ke they, mere pesey to rishton ko ustuwar kar rahay they .
baba jee ke pesey Allah ki Raza ko haasil karne ja rahay they .
mein soch raha tha ke is budiya mein maa, behan aur beti mujhe kyun dikhayi nahi di ?
ae kash mein bhi baba jee ki aankhh se daikhta, ae kash tamam Sahiban hesiyat bhi isi aankhh ke maalik hotay ,
ae kash, ke sath beshumar tamannaye mera peecha kar rahi theen .
Axact

Namal Shah

Namal Shah is Islamic Nayyab Girl , who love Islam and love to post Islamic Things and want to share islamic knowledge with every one so that Islam blessing reach to maximum people and every one enlight with islamic Knowledge.

Post A Comment: