kere to
mohar lena is ka haq hai
Alhmd lillah
Sab se pehlay to hum sawal
karne par aap ke shukar guzaar hain, aur doosri baat yeh hai ke mohar ke mauzo
mein daakhil honay se qabal asal mein shadi ke hukum ke baara mein maloom karna
zaroori hai, ke aaya musalman shakhs ke liye kisi ghair muslim se shadi karna
jaaiz hai ke nahi ?
Musalman shakhs ke liye
ahal kitaab ki Afif aur pakbaaz aurat ke sath shadi karna jaaiz hai, is par is
se Aqab nikah ke waqt hukum lagaya jaye ga ke aaya woh zina aur fisq وفجور aur fahaashi tark kar chuki hai ke nahi .
Agar to woh Iffat وعصمت ki maalik ho aur pak saaf ho to musalman
ka is se nikah karna jaaiz hai, aur is haalat mein aurat ko is ka mohar bhi
miley ga, asal mein hum is mushkil ko hal karne ke liye aap ko naseehat karte
hain ke aap islam qubool kar len is liye ke islam pehlay tamam gunaaho aur معاصی ki aalayshon ko khatam kar ke rakh deta
hai .
Aap islam qubool kar ke
–apne aap ko aag se bacha len gi aur duniya o akhirat ki Saadat bhi haasil kar
len gi aur phir islam qubool karne ke baad aap ka is se shadi karne mein kisi
bhi qisam ka shuba baqi nahi rahay ga, aur asal mein nah hi woh mushkil rahay
gi jis ka zikar aap ne sawal kya hai .
Hum Allah taala se dua go
hain ke woh aap ko hadaiyat naseeb farmaiye aur tofeq aur nijaat ataa farmaiye,
salamti to is par hi hai jo hadaiyat ki pairwi karta hai.
Post A Comment: