Aunti : ammi aap ko salam keh rahi hain aur keh rahi hain ke thora sa lahsun
to didin daal ko tarka lagana hai .
Aur aunti agay se kehti :" oye to idr aa naan ", mein zara
tairay kaan to maroron, to kayi dinon se nazar kyun nahi aa rahi .
Yeh le lahsun aur zara si daal mujhe bhi chakkha jana .
Jee yeh kuch ziyada puranay daur ki baat nahi, is hamsaigi aur hamsaigi
se jari riwayaat aur rawabit ko maray hue bas chand hi saal hue hain .
Ab sath basnay wala bhai, bhai ke ghrbna bulaye chlajaye to qayamat
ajati hai chay jayik_h humsaayon ka bacha waqt be waqt ghanti baja day to .
Baghair namak ke khana kha lena qubool kya ja raha hai magar mangnay ki
nedamat uthany ko koi tayyar nahi .
Rishte mrrhe hain, hamsaiyan aur un se jurey haqooq aur aadaab ko pamaal
kya ja raha hai .
Sila rehmi to kya qata taulqi baais fakhr banti ja rahi hai .
Post A Comment: