Sad reality.cheap soch damn true..mostly aisa hi hota hay...aisa wohi log kartain hain jin k dil or sooch dono chotay hotay hai.
Shadi ke liye larke ko kaarobar ki tension nahi honi chahiye. . .
Wajah? ?
Wajah yeh ke larki sara samaan le kar aeye gi sab kuch furniture bistar bartan tv, fridge sab kuch. . .
عجیب بات ہے سب کچھ عجیب ہے

Phir larke ke saaray khandan ke kapray bhi le kar aeye gi larke ki maa ko sonay ke kantay pehnanay bhi lazim hain. . .
Phir har 2 month baad larke ke kapray, har season ke hisaab se larke ke kapray jootay sweeter sab sasural ney bananay hotay hain ,
Ab bacha peda honay wala hai to larki ko maa baap ke ghar bhaij diya jata hai ab paidaiesh se le kar 3 month taq phir sara kharcha larki ke maa baap sambhale ge. .
Phir jab beti ko uss ke ghar chore kar aana hai to kapray jootay saaray sasural ke sath mein dosray lawazmaat bhi. . .
Har bachay ki paidaiesh par aisa hoga har season mein aisa hoga jab larke ke halaat thoray tihgt hogay to tab bhi larki bachon ke sath sasural bhaij di jaye gi. . .
To larke kyun kehte hain kaarobar set ho lainay do. . .
Jab shadi ke naam par to achi bhali lotry nikal aati hai. . .
Phir bhi. .. .
Saari zindagi larki ke ghar walay dab kar rehtay hain behnoi se dar kar rehna hai woh ghalat kere ya theek usay kuch nahi kehna. . .
Woh hamaray mun par kahe ga ke masla mere ghar ka hai tum log chup raho. .
Jab ke hamari majaboori hai ke hum ney uss ke baghair ghar ka koi faisla nahi karna. . .

Ajeeb baat hai sab kuch ajeeb hai. . .
Axact

Namal Shah

Namal Shah is Islamic Nayyab Girl , who love Islam and love to post Islamic Things and want to share islamic knowledge with every one so that Islam blessing reach to maximum people and every one enlight with islamic Knowledge.

Post A Comment: